Mera Hussain Bagh-e-Nabuwat Ka Phool Hai My Hussain is the flower of the garden of Prophethood.
Mera Hussain Bagh-e-Nabuwat Ka Phool Hai
Haider ki is mein jaan hai, khoon-e-Batool hai
Guzra jahan jahan se nawasa-e-Rasool ka
Ab tak wahan Khuda ke karam ka nazool hai
Aisi azeem zaat hai Maula Hussain ki
Jis ke liye Rasool ke sajdon mein tool hai
Jis ke liye Yazeed ne itne sitam kiye
Woh taaj to Hussain ke qadmon ki dhool hai
Duniya mein aur kaun hai Shabbir ke siwa
Aisa sawar jis ki sawaari Rasool hai
Jo ji mein aaye un ke gharane se maang le
Maalik yeh sab jahan ki Aal-e-Rasool hai
حیدر کی اس میں جان ہے، خونِ بتول ہے
گُزرا جہاں جہاں سے نواسہ رسول کا
اب تک وہاں خدا کے کرم کا نزول ہے
ایسی عظیم ذات ہے مولا حسین کی
جس کے لیے رسول کے سجدوں میں طول ہے
جس کے لیے یزید نے اتنے ستم کیے
وہ تاج تو حسین کے قدموں کی دھول ہے
دنیا میں اور کون ہے شبیر کے سوا
ایسا سوار جس کی سواری رسول ہے
جو جی میں آئے ان کے گھرانے سے مانگ لے
مالک یہ سب جہان کی آلِ رسول ہے
These lyrics beautifully encapsulate the reverence and love for Imam Hussain (AS), highlighting his esteemed position in Islamic history and his profound connection to the Prophet Muhammad (PBUH).
For a soulful rendition of this manqabat, you can listen to Hassan Sadiq's performance:
No comments:
Post a Comment