Friday, November 29, 2024

Faslo Ko Takalaf Hai Hum Se Agar - Lyrics

 Faslon Ko Takalluf Hai Humse Agar is a poignant Naat that eloquently expresses a devotee's deep yearning and love for the Prophet Muhammad (peace be upon him). The lyrics, penned by Iqbal Azeem, beautifully capture the spiritual journey and the longing to be in the blessed city of Madinah.

Faslon ko takalluf hai humse agar,

Hum bhi bebas nahin, be-sahara nahin.

Khud unhi ko pukarenge hum door se,

Raaste mein agar paon thak jayenge.


Hum Madinay mein tanha nikal jayenge,

Aur galiyon mein qasdan bhatak jayenge.

Hum wahan ja ke wapas nahin aayenge,

Dhoondte dhoondte log thak jayenge.


Jaise hi sabz gumbad nazar aayega,

Bandagi ka qareena badal jayega.

Sar jhukane ki fursat milegi kise,

Khud hi palkon se sajde tapak jayenge.


Naam-e-Aaqa jahan bhi liya jayega,

Zikr unka jahan bhi kiya jayega.

Noor hi noor seenon mein bhar jayega,

Saari mehfil mein jalwe lapak jayenge.


Ae Madinay ke zaair, Khuda ke liye,

Dastaan-e-safar mujh ko yun mat suna.

Baat barh jayegi, dil tadap jayega,

Mere mohtaat aansu chalak jayenge.


Unki chashm-e-karam ko hai iski khabar,

Kis musafir ko hai kitna shauq-e-safar.

Humko Iqbal jab bhi ijazat mili,

Hum bhi Aaqa ke darbar tak jayenge.

This Naat beautifully encapsulates the emotions of a believer longing to visit Madinah and be in the presence of the Prophet Muhammad (peace be upon him). The imagery of the green dome and the streets of Madinah evokes a deep spiritual connection, making it a cherished piece among devotees.

For a soulful rendition of this Naat, you can listen to Qari Waheed Zafar Qasmi's performance:



No comments:

Post a Comment