Monday, December 22, 2008

Bin Badal Bin Mein Barasta Aaya

Chorus:

Bin badal bin mein barasta aaya re bana
Bin badal bin mein barasta aaya re bana
Jaisay poonam ka chand
Chamakta aaya re bana

--

Mehndi aayee, re banay teri mehndi aayee (x2)
Teri laali pe jaaon qurbaan
Chamakta aaya re bana

Chorus

Ubtan aaya, re banay tera ubtan aaya (x2)
Teri khushboo per jaaon qurbaan
Chamakta aaya re bana

Chorus

Sehra aaya, re banay tera sehra aaya (x 2)
Teri laryon per jaaon qurbaan
Chamakta aaya re bana

No comments:

Post a Comment